aisee beshtar wazaif ki kitab par awwal to kissi morattab ka naam nahi hota... doosray inn wazaif ki asnaad maiN likha hota hai k yeh falaaN buzrug ko khaab maiN milaa. yaa aan.hazrat saw nay falaaN ko khaab maiN yeh amal batlaayaa... yaa kiss wazeefay ka hawaalaa kissi aur ghair maroof buzrug ki kitaab bataya jata hai.... quran o hadees o sahaabah ka hawalah maiN kam hi dekha hai...
daylight,
kia wazaaif ki aisee mustanad books available haiN, jinkay hawaalay bhi mustanad houN aur morattib bhi aalamy islam maiN maqbool houN.... kia sirf quraan o ahadees aur sahabah say manqool do'aa'ouN / wazaaif ki koi book hai, jo mazkoorah khawateen ko dee jasakay.

Sign In
Register
Help


MultiQuote






